Saturday, July 30, 2011

Yun to


Yun to zindagi k har safar pe
Tera sath milta gaya
Na jane phir bhi kyun
Ye akelapan sa hai

Yun to zindagi k iss daur mein
Har mukaam milta gaya
Na jane phir bhi kyun
Kuch juda sa hai

Yun to takdeer ne baahen failaye
Swaagat mera har pal kiya
Naa jane phir bhi kyun
Ye dil tanha sa hai

Yun to jab bhi mud kar dekha
Tu wahin khada dikhta raha
Naa jane phir bhi kyun
Kuch dhundla sa hai

Kya hai wo jo akela hai sab mein?
Kya hai wo jo juda hai mujh mein?
Kya hai wo jo tanha hai dil mein?
Kya hai wo jo dhundla hai jag mein?